nanha bachpan kahi kho gaya

Main sudha apni saheli shreshtha ke ghar kitty party ke liye gayi thi. Waha sabhi purani dost mujhe mili . un sb ko dekh kar mujhe samajh aa raha tha ke sb ki sb kitni modern nature ki ho gayi hai. Sbhi apne aapki tariff kar karke thak nahi rahi thi.

Usi pal sudha tayaar hokar bahar aayi. Sudha ko bhi dekh mujhe najaane kyu aisa pratit hua ke wo mehmanon ka satkaar karna jaise bilkul bhul gayi hai . bas khud ko hi pradarshit karne me lagi thi.

Ho sakta hai ki ye mere swabhav aur jiwan shaili se bilkul vipreet tha par ye kya tha ….

Usne ek aawaz lagayi, “kali mehmaano ke liye pani laao”. andar se ek choti 9 saal ki bachchi bahar aayi .

Use dekh main hairan ho gayi . uske ghar me veh bachi ek naukraani ka kaam kar rahi thi . yeh to abhi uski khelne ki umar thi .haatho me kalam aur khilauno ki bajaay uske haatho me pani ke glass aur jhuthe bartan aur jhadu pakda di gayi thi.

Kya yeh sahi hai. Ham kyu nahi samajhte ki bachche hamare desh ka bhavishay hote hai .unka bhavishay ujwal banana ki bajaay ham use andhkaar me dhakel rahe hain .mujhe ye sb dekh kar bahut bura lag raha tha. Aur un logo ko mera man kos raha tha jo yeh sb dekh kar bhi andekha kar rahe the.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *