Zindagi ke pehlu

zindagi…badi ajab hoti hai zindagi. Jiwan ke alag alag pehlunyon se dhali. Bachpan se lekar budhapa.
In pehluyon se Jude hai bht se rishte jaise bhai behn,maa baap, pati patni, bachche, rishtedaar , dost,teachers aur bht se ajnabi rishte..inhi ke sath hasna inhi ke saath rona.Yeh kahani meri saheli vandana( badla hua naam)Ki hai jo apne halat se pareshan thi.shadi ke baad bachche se zindagi achche se khushi khushi beet rahi thi..par kismat ka khel dekho bhari jawani me pati ka swargwas ho gaya.Aaj uska bachcha 2 saal ka hai aur veh apni budhi maa ke sath apne mayke me rehti hai.ek taraf maa ki bimari ek taraf chota bachcha. Ghar ki zimmedaari aa gayi hai Sar par.Apni zindagi se bht ummidein hai uski.ek achchi maa banne ki koshish me lagi hai.maa ki halat dekh zindagi ko dusra mauka dene k liye samaj walon ke tane jhelti ek maa is duniya ki bheed me ek aisa jiwan sathi dhund rahi hai jo uske bachche ko pita ka pyaar de aur use apnaye…Apni zindagi se bht ummidein hai uski.ek achchi maa banne ki koshish me lagi hai. budhi maa ki halat dekh apni zindagi ko dusra mauka dene k liye dusri shadi krne k liye razi hai wo..samaj walon ke tane jhelti ek maa is duniya ki bheed me ek aisa jiwan sathi dhund rahi hai jo uske bachche ko pita ka pyaar de aur use apnaye..par ye kya achche gharon se rishte aate par uske bachche ko dekh mana kr diya jaata hai.Kya us bachche ko dubara pita ka pyaar nhi milega? Ya ek maa phir niraash ho jayegi.ek bachche ko palne ke liye pita ke naam ki zarurat kyu hoti hai. Kya ek maa pita aur maa dono ki responsibilities nibha nhi sakti.use ghrada bhari nazron se kyu dekha jaata hai.Samaj ka yeh ghranatmak vyavhaar ko main samarthan nahi deti pr kya aap karte hai..?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *