Main Rakesh Awasthi profession se engineer hu. Maine is desh me kafi buildings ko banane me apna yogdaan diya hai. pehle mujhe lagta tha ke desh me har jagah uchi uchi imaratein honi chahiye. isse hamare desh ki tarakki hogi. logo ko rehne ke liye sunder ghar milega. garibi hat jayegi. Par ye bharam mera tab tuta jb main ek garib ko footpath par sote dekha . kuch samay pehle wahi garib mere paas aakar apni jhopad na todne ki vinti kar raha tha. Hamare manager ne unhe nayi imarat me ghar dene ka vayda kiya tha par ye kya us vayde ki koi kimat hi nahi rahi. Aaj wahi garib footpath par sota nazar aa raha hai.
Aaj mujhe engineer ban kar bahut dukh ho raha hai ki ham apne desh ko kaha le jaana chahte the par veh kaha pahuch raha hai. Development ke naam par garibo se unke rehne ki jagah chini jaati hai . Ameer aur ameer ho rahe hai aur garib aur garib. Mera bas chale to main un sb garibon ko apne ghar laakr rehne ki jagah du .