Main Reeta ek madhyam vargi pariwar me rehne wali. Meri soch mere pariwar se bilkul alag hai. Yeh baat mujhe tab samajh me aayi jb meri saheli Aashna mere bulane par mere ghar pooja me shamil hone aayi.
Kyuki har ek dharam me bhagwanon ko alag alag tarike se pooja jata hai usi tarah mere pariwaar me hui pooja shaili Aashna key yaha hone wali pooja shaili se bilkul alag thi.
Lekin iska matlab yeh to nahi hai k usko pooja karne ka adhikaar nahi tha.maine uska haath pakda aur apne saath aarti karne le gayi. Waha maine usko aarti ki thali thama di .par ye kya use to pata hi nahi tha ke isse pooja kaise kare. Mere ghar wale bht gussa hone lage. Par kya unka ye gussa jayez tha?
Mere vichaar me nahi ye jayez nahi tha. Us din ke baad meri saheli mere ghar kabhi nahi aayi. Maine kitni baar koshish ki use bulane ki par kahi naa kahi us din ki chaap uske man main aa gayi thi.mere ghar me bhi is baat ko lekar ajeeb sa mahaul ban gaya tha.
Is incident se mujhe samajh nahi aata ke dosti dharam yaa jaati dekh kar karni chahiye?
Ham dilon ke bair ko khatam kyu nahi kar dete. Sabhi dharamon ko jatiyon ko ek saman kyu nahi dekhte.
Main apne pariwaar ki roodiwadi soch ka shikaar nahi banna chahti thi isliye maine dosti chuni, naki dharam.. hope aap sab meri baat se sehmat honge..